The Best Search Ever

Custom Search

Thursday, August 9, 2007

REHGUJAR JATI HE

idhar bhi dekhti hoon tanhaai nazar aati hai
aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai

main kaise karun gilaa dil ke zakhmon se huzoor
aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai


tod diye hain maine apne ghar ke saare aayine
meri rooh mera hi chehraa dekh ke darr jaati hai

ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein...
zara si na-muraadon ki tabiyaat sudhar jaati hai


asar karti yakeenan gar choo jaati unke dil ko lekin
afsos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai

maikade mein jab bhi zikr aata hai tere naam ka
shaam ki pee hui sar-e-shaam hi utar jaati hai


kabhi aa ke mere zakhmon se muqaabilaa to kar
ae khushi tu moonh chhuppaa ke kidhar jaati hai

tuze inhi kaanton pe chal ke jaana hoga
unke ghar ko bas yahi aik rehguzar jaati hai.....

No comments: