The Best Search Ever

Custom Search

Friday, November 16, 2007

AZEEB SA



ajeeb sa manzar nazar ata hai,
har ek katra samundar nazar ata hai.
kaha banau ghar sheeshe ka,
har ek hath mai paththar nazar ata hai.

nakaam si koshish kia karte hai,
hum hai ki unse pyar kiya karte hai.
khuna ne taqdir mai ek tuta tara nahi likha,

aur hum hai ki chand ki arzu kia karte hai.
shart logo se laga ke rakhkhi hai.
shayad aa jaye koi humse bhi pyasa,
isliye thodi bacha ke rakhkhi hai.

khamoshi ka matalab inkar nahi hota,
nakamyabi ka matalab har nahi hota.
kya hua hum agar unko pa na sake,
sirf pane ka matalab to pyar nahi hota.

ishq aisa karo ki dhadkan mai bas jaye,
saans bhi loto khusbu unki aye.
pyar ka nasha ankho mai aisa chaye,
bat koi bhi ho par nam unka hi aye.

dard mai koi mausam pyara nahi hota,
dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.
dekho jara bebasi hamari,
hum unkeb ho jate hai jo hamara nahi hota.

kisi ki yado ne pagal bana rakha hai,
kahi mar na jau kafan sila rakha hai.
dafnane se pehle dil nikal lena mera,
kihi vo dafan na ho jae jinko dil mai basa rakha hai.

ho gaye fanah muhubbat ke is jamane mai,
sazza ke tor pe milli maut paimane mai.
muhobbat ne nakam kar diya varna,
khubia aur bhi thi is diwane mai.

jara si bat der tak rulati rahi,
khushi mai bhi aankhe aansu baha ti rahi.
koi mil ke kho gaya to koi kho ke mil gaya,
zindagi bas humko aise hi aajmati rahi.

nazar hi nazar mai nazar se nazar ne kaha,
ki woh jab nazar aaye to unki nazar se nazar na millana.
nahi to nazar ki kasam unki nazar ko nazar lag jayegi nazar ki.

unse keh do ki woh meri taqdir se jalna chod de,
are hum woh badnasheeb hai jo.
kafan ki dukan khole to log marna chod de.

No comments: