The Best Search Ever

Custom Search
Showing posts with label sherosayari. Show all posts
Showing posts with label sherosayari. Show all posts

Friday, November 16, 2007

AZEEB SA



ajeeb sa manzar nazar ata hai,
har ek katra samundar nazar ata hai.
kaha banau ghar sheeshe ka,
har ek hath mai paththar nazar ata hai.

nakaam si koshish kia karte hai,
hum hai ki unse pyar kiya karte hai.
khuna ne taqdir mai ek tuta tara nahi likha,

aur hum hai ki chand ki arzu kia karte hai.
shart logo se laga ke rakhkhi hai.
shayad aa jaye koi humse bhi pyasa,
isliye thodi bacha ke rakhkhi hai.

khamoshi ka matalab inkar nahi hota,
nakamyabi ka matalab har nahi hota.
kya hua hum agar unko pa na sake,
sirf pane ka matalab to pyar nahi hota.

ishq aisa karo ki dhadkan mai bas jaye,
saans bhi loto khusbu unki aye.
pyar ka nasha ankho mai aisa chaye,
bat koi bhi ho par nam unka hi aye.

dard mai koi mausam pyara nahi hota,
dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.
dekho jara bebasi hamari,
hum unkeb ho jate hai jo hamara nahi hota.

kisi ki yado ne pagal bana rakha hai,
kahi mar na jau kafan sila rakha hai.
dafnane se pehle dil nikal lena mera,
kihi vo dafan na ho jae jinko dil mai basa rakha hai.

ho gaye fanah muhubbat ke is jamane mai,
sazza ke tor pe milli maut paimane mai.
muhobbat ne nakam kar diya varna,
khubia aur bhi thi is diwane mai.

jara si bat der tak rulati rahi,
khushi mai bhi aankhe aansu baha ti rahi.
koi mil ke kho gaya to koi kho ke mil gaya,
zindagi bas humko aise hi aajmati rahi.

nazar hi nazar mai nazar se nazar ne kaha,
ki woh jab nazar aaye to unki nazar se nazar na millana.
nahi to nazar ki kasam unki nazar ko nazar lag jayegi nazar ki.

unse keh do ki woh meri taqdir se jalna chod de,
are hum woh badnasheeb hai jo.
kafan ki dukan khole to log marna chod de.

ARTI GOOGLE MAHARAJ KI

Aarti Shri Google Maharaj
************ ********* ********* ********* ********

Om Jai Google Hare !!
Swami Jai Google hare
Programmers ke sankat, Developers ke Sankat,
Click main door kare!!
Om Jai Google Hare !!

Jo Dhyawe vo pawe,
Dukh bin se man ka, Swami dukh bin se man ka,
Homepage ki sampatti lawe, Homework ki sampatti karave
Kasht mite work ka,
Swami Om Jai Google hare!!

Tum puran search engine
Tum hi Internet yaami, Swami Tum hi Internet yaami
Par karo hamari Salari, Par karo hamari apprisal,
Tum dunia ke swami,
Swami Om Jai Google hare.

Tum information ke saagar,
Tum palan karta, swami Tum palan karta,
Main moorakh khalkamii, Main Searcher tum Server-ami
Tum karta dhartaa !!
Swami Om Jai Google hare!!

Din bandhu dukh harta,
Tum rakshak mere, Swami tum thakur mere,
Apni search dikhaao, sare reasearch karao
Site par khada mein tere,
Swami Om Jai Google hare!!

Google devta ki aarti Jo koi programmer gaawe,
Swami Jo koi bhi programmer gaawe,
Kehet SUN swami, MS Hari har swami,
Manwaanchhit fal paawe.
Swami Om Jai Google

Monday, September 24, 2007

IF I COULD CATCH RAINBOW

If I could catch a rainbow
I would do it just for you,
and share with you its beauty
on the days you're feeling blue.





If I could build a mountain
you could call your very own,
a place to find serenity,
a place to be alone.




If I could take your troubles
I would toss them in the sea,
but all these things I'm finding
are impossible for me.



I cannot build a mountain
or catch a rainbow fair,
but let me be what I know best,
a friend who's always there.

THINKING OF YOU:

Thinking of you...

When you read these words,
chances are that I'll be sitting here
thinking of you... as I so often do.


I'll probably be smiling
one of the smiles that I always do
when thoughts of you come my way.

When you read these few words,
I hope you'll think, just for a moment,
how much you mean to me
and how much you always will.

And when you continue on with the things
you need to be doing in your day,
smile a smile for me, and remember
that I'll be thinking of you still.

Thursday, September 20, 2007

HAAL USKA TERE

Haal uskaa tere chehre pe likhaa lagtaa hai
vo chup chaap khadaa hai teraa kyaa lagtaa hai

yuun to har chiiz salaamat hai merii duniyaa mein
ek ta'alluq hai jo tuutaa huaa lagtaa hai

main ne sochaa thaa ke aabaad huun ek shahar mein main
yaan to har shakhs kaa andaaz judaa lagtaa hai

muddatein biit gaiin tay na huii manzil-e-shauq
ek aalaam mere raste mein padaa lagtaa hai

ai mere jazbaa-e-dauron mujh mein kashish ha itnii
jo khaataa hotaa hai vo tiir bhii aa lagtaa hai

jaane kaun sii pastii mein giraa huun "JAAN"
suuraj bhii is qadar duur hai ke diyaa lagtaa hai


Tuesday, September 18, 2007

log kya janay dard hamara


.






Log kya janay dard hamara

log to hen bus sukh k sathi,
Dukh main unka kaam hi kya he?
Sukh say jinka rishta bandha he......

dard main hum to apnay aansu,
hanstay hanstay p lay tay hain,
zahir judai ka seenay lekar,
hanstay hanstay jee laytay hain........ .....

dard hamara kesa he ye...?
jisny kya mehsoos, to wo b roey,
dard hamara shup na sakayga,
ek din phir ye unhay rolega......

Khud say to anjaan hain wo,
unhay pata nahin,
k meri jaan hain wo.........

log kya jany dard hamara.

Tuesday, September 11, 2007

shayad unse pyaar karne lagi hun

Shaayad unse pyaar karne lagi hun..!...... ......

Pehle mein chain se soya karti thi,
ab raaton ko karvatein badalne lagi hun.

pehle mein sabse bahut baatein kiya karti thi,
ab chupchaap rehne lagi hun.

pehle mein mehfilon mein raha karti thi,
ab akeli rehni lagi hun.

shaayri aur kavitaaon ka shokh nahi tha mujhe,
par ab khud shaayri likhne lagi hun.

unse mulakat hone ke baad,
jaane kyun unke baare mein hi sochne lagi hun.

pehle mein doston ki nakal kiya karti thi,
ab aaine ke saamne unki nakal karne lagi hun.

zindagi ke safar mein akele chalte chalte achanak,
unke saath chalne ki khwayish karne lagi hun.

sablog unka naam le lekar mujhe pareshaan kiya karte the,
par ab yeh pareshaani bhi pasand karne lagi hun.

jo lamhe humne saath bitaye the,
woh lamhe ab roz yaad karne lagi hun.

woh mujhe jin baaton par hasaya karte the,
ab un baaton ko dohra dohra kar hasne lagi hun.

sab log mere khoye khoye rehne ki wajah puchte the,
par ab yahi sawaal khud se puchne lagi hun.

bhale hi woh mujhse door hain par,
har ghadi unki aahat mehsoos karne lagi hun.

ab to unka zikar hone par,
main to sharmane lagi hun.

pehle main mandir jaati thi bhagwan ke darshan karne,
par ab unke darshan ki duaa maangne lagi hun.

pehle woh mujhe begaane lagte the,
par ab unme woh apnapan mehsoos karne lagi hun.

pehle main pyaar ki baatein bilkul nahi samajhti thi,
par ab woh sab samjhne lagi hun.

main apni khudki haalat pe hairan hun,
main aisi kyun hone lagi hun?

mujhe aisa lagta hai yaaron,
shaayad mein unse pyaar karne lagi hun..!

Monday, September 10, 2007

khuda khud sochta hoga

KHUDA KHUD SOCHTA HOGA
DIYE SAB HUSN K JAB USNE ROSHAN KAR LIYE HONGAY
PHIR USNE APNI JANNAT SAY KAI MANZAR LIYE HONGAY
TEREE TASVEER MAIN JAB RANG SARE BHAR LIYE HONGAY
KHUDA KHUD SOCHTA HOGA K YE TASVEER KIS KI HAY

CHAMAK BAKHSHI TERE CHEHRE KO USNE MAHTABON KI
BASAIN USNE TUJHMAIN KHUSHBUAIN KHILTAY GULABON KI
DHANAK MAIN DAAL KAR USNE RANGA PHIR TERE AANCHAL KO
BHAREE BARSAAT K NAGHME DIYE PHIR TEREE PAYAL KO
SABHI NAZ_O_ADA JAB IS MAIN SHAMIL KAR DIYE HONGAY
KHUDA KHUD SOCHTA HOGA K YE TASVEER KIS KI HAY

HAYA USNE TUJHAY WO DEE K HOORAIN BHI HON SHARMINDA
WO TUJHKO SHARAM BAKHSHI JO RAHAY MEHSHAR TALAK ZINDA
SAJAYA NOOR APNA USNE TERE ROO_E_ROSHAN MAIN
ADA KARNE AAYN NAMAZ FARISHTAY TERE DAMAN MAIN
JAB USNAIN REHMATON K SAY TUJHPAR KAR LIYE HONGAY
KHUDA KHUD SOCHTA HOGA K YE TASVEER KIS KI HAY

TERE MAATHAY KA JHOOMAR SHAM KA PEHLA SITARA HAY
TEREE PALKON K SAY MAIN SAMANDAR KA KINARA HAY
TEREE YE ZULF HAY DHANKI HUI KOI GHATA JAYSAY
TERA YE JISM HAY PAKIZA SUBHON KI ZIYA JAYSAY
ASAR TASVEER K JAB APNE HI DIL PAR LIYE HONGAY
KHUDA KHUD SOCHTA HOGA K YE TASVEER KIS KI HAY

kyu rulate ho hume

kyo rulaate ho hame,
kyo bhool jate ho hame,

tere he sahaare to je rahe hai hum,
to phir kyo akela chor jate ho hame,


har baat ko chupana aata hai tumhe,
rotho ko manana aata hai hame,


rothe ho tum najane kis baat par,
to phir vo baat kyo nahi batate ho hame,


jaan jati hai hamari, jab yaad aati hai tumhari
tum to hame bhula dete ho, to phir kyo yaad aate ho hame,


hum jeene k bahane marte rahenge,
pyar hum tumse karta rahenge,


pyar to tum bhi karte ho,
to phir kyo yu satate ho hame. !!!

Monday, August 27, 2007

MAINE APNE DARD KO BARBAAD KYA KARU

meine apne dard ko barbaad kya karu

tughse muhhobat ki fariyad kya karu

aakhir jannat mein tughse mulakat hogi

mein jeete jee tera intezar kya karu

teri tasveer mere dil se mitegi kaise

aakhen band kerke mein tera deedar kya karu

jab tughse hi mughe wafai na mili

mein dunia mein logo ki pahchan kya karu

tanhai mein jindagi badi begairat hogi

mein apni maut ka intezar kya karu

khuda kabhi mughpe meherban hoga

mein masjid mein koi dua kya karu

mere khwabo mein aaegi tu muskurate hue

ab teri hasi ko yad kya karu

mere ashq bahenge teri yad mein akasar

mein apni kismat pe aitraz kya karu

.....mein apne dard ko barbad kya karu..
.....mein apne dard ko barbaad kya karu...

KHAMOSH MOHABBAT

Khamosh Mohabbat
Meri khamosh mohabbat ka
Itna to sila diya hota,
Kabhi ik nazar chahat se
Dekh hee liya hota.
Hum bhi tujhay ishq-0-mohabbat
Se aashna kartay,
Bas ik baar apnay dil mein
Aanay to diya hota.
Kia jata tumhara bas
Hamein hee dil se khushi milti,
Apni zindagi ki kitaab mein
Naam hamara bhi likh liya hota.
Dekh letay zara ghor se shayad,
Tumharay haath ki lakiron mein
Hamarai kismat ka bhi diya hota.

DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO

DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO
HUM SE CHAHAT NA ZIYADA JATAYA KARO
DOOR RAHTE HO KION PAAS AAYA KARO

TERA JALWA KABHI HUM NE DEKHA NAHIN
KABHI CHEHRA HUMEN TO DIKHAYA KARO
ROZ GHERON KI MAJLIS MAIN JATE HO TUM
KABHI TO APNO KI MAHFIL SAJAYA KARO

HUM RANJEEDA BHI HAIN NEEM DEEDA BHI
AA KE DIL TUM HAMARA BEHLAYA KARO
TERI MAJBOORION KI KHABAR HAI MUJHE
BAAT BAAT PER KASMEIN NA KHAYA KARO

TERE WAADE PE HUM NE BHAROOSA KIA
KUCH TO ULFAT KA TUM BHI HAQ NIBHAYA KARO
CHAHNE WALE KI CHAHAT PE KAR LO YAKEEN
ROSHNI MAIN DIYE NA JALAYA KARO

HUM BHI HUM RAAZ HAIN TUM BHI HUM RAAZ HO
DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO

kuch likhna chahta huon

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
Barish Ka Woh Bhega Pani
Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?
Thi Chehrey Par Unkey Masomiyat
Aankhoon Mein Thi Thori Shararat
Aur Baatoon Mein Woh Nazakat
Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?

Kuch Likhna chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?
Unka Aaker Muskurana
Jo Rooth Jaon To Manana
Jate Jate Phir Rulana
Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?
Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana
Her Shaam Ek Diya Jalana
Soi Umeed Ko Roz Jagana
Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhon?

Wednesday, August 22, 2007

shab

kat gayee shab ye bhi tere intejaar mein
chand bhi na chamka tere etbaar mein

afsoos karna hi kya humare intejaar ka
tu aaya nahi gum hai yehi dil e bejaar mein

koft ab hoti nahi in andheron mein
hai bahot sukoon is tanhai ke bajaar mein

hai kahan mumkin kisi tarah tujhe bhool jana
najar aata hai tu in dar o deewar mein

dilon mein ghutan ka dayra simta hua
kasti dil ki fansi hai majhdhar mein

sabr ki wo taleem ab bhool gaye log
befikari wo tasalli kho gayee takraar mein

khauf ki chamak aur hai dhaar paini us par
sanjidigi saaz ki milegi nahi tumhen talwaar mein

dard aa hi jata hai akhir labon pe
khushboo ke chale hain kahan kisike ikhtiyaar mein

MERI PAGAL MUHHOBBAT YAAD AYEGI

Jab Chaand Sitare chamak rahey honge
Jab Yaadon k Phool Mehak rahey honge
Jab need ko Nain taras rahey honge
Jab Aankhon se Aansoo baras rahey honge

Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad aayegi

Jab Tanhai se Dil Ghabraye ga
Jab Tumhein Akela-Pan Satayega
Jab koi Khuwab hi nahi ayega
Jab Phool Kitab mai hi reh jayega

Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad ayegi...

I LOVE U BY OCEANS

I love you by oceans,
By suns, moons and starred sky;
Cosmos and universes
Fall too small to swear by.

I want to see you in person
To say all that in your ears.

But alas!
You live abroad!So far away
You don't have phone facility
That I can converse with you.
You have chosen country,say,
Its beyond oceans,suns, moons,
Starred sky,cosmos,universe s.

But I am not a pessimist.
Soon I will find a way out
And reach you where you are.
For I am a Poet.
Just wait at that Great Gate.

KHUBSURAT


khubsoorat hain wo lub
jo pyari batein kertey hain

khubsoorat hai wo muskurahat
jo dosaroon ke chehroon per bhimuskan saja de

khubsoorat hai wo dil
jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tarpey

khubsoorat hain wo jazbat
jo kisi ka ehsaas karein

khubsoorat hai wo ehsaas
jo kisi ke dard ka madawa baney



khubsoorat hain wo batein
jo kisi ka dil na dukhaein

khubsoorat hain wo ankhein
jin mein pakezgi ho
sharm o haya ho

khubsoorat hain wo ansoo
jo kisi ke dard ko
mehsoos kerke beh jaein

khubsoorat hain wo Hath
jo kisi ko mushkil
Waqat mein tham lein

khubsoorat hain wo qadam
jo kisi ki madad ke liye
aagey berhein !!!!!

khubsoorat hai wo sooch
jo kisi ke liye acha soochey

khubsoorat hai wo insan
jis ko KHUDA ne ye
khubsoorati a ta ki.

KOI RASTAA NA RAHA

,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*
*****Phir bach nikalne ka apne koi Raasta na raha******

,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*


Jo tere Ishq main khoye to phir pata na raha
Zamaane bhar se mera koi waasta na raha

,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*

Bohat gehre marasim the Doston se mere
Tumhare baad kisi se bhi raabta na raha

,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*
Bahut the shikwe gile tum se bewafayi ke
Dekh ker saamne tum ko koi gila na raha


,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*´¨¯¨`*•~-.¸,.-~*
Lagi jo aag Dil main to is tarhan phaili
Phir bach nikalne ka apne koi Raasta na raha.

LAGA HE TU

Pyaar ka meetha "Ehsaas" dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu

Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu

Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu

Har pal mujhe hota hai bas tera hi "Ehsaas"
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu

Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu

Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu

Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu

Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu

Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu

Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu

Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu

Kya is baat ka tujhey "Ehsaas" hai "Jaan"
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu

ladki deewani hai

Meri mohabbat ki bas itni si kahani hai
Dard main doobi hui yeh zindagani hai

Rista hai zakhm ban ke aankh ka aansu
Rooh par jafaaon ki gehri nishaani hai

Saansen hain lekin dhadkanen nahin hain
Lahu thama sa hai, na koi ravaani hai

Kho diya jisne umar bhar ka sukoon
Muskurati hai phir bhi, ladki deewani hai !!