The Best Search Ever

Custom Search

Wednesday, August 22, 2007

shab

kat gayee shab ye bhi tere intejaar mein
chand bhi na chamka tere etbaar mein

afsoos karna hi kya humare intejaar ka
tu aaya nahi gum hai yehi dil e bejaar mein

koft ab hoti nahi in andheron mein
hai bahot sukoon is tanhai ke bajaar mein

hai kahan mumkin kisi tarah tujhe bhool jana
najar aata hai tu in dar o deewar mein

dilon mein ghutan ka dayra simta hua
kasti dil ki fansi hai majhdhar mein

sabr ki wo taleem ab bhool gaye log
befikari wo tasalli kho gayee takraar mein

khauf ki chamak aur hai dhaar paini us par
sanjidigi saaz ki milegi nahi tumhen talwaar mein

dard aa hi jata hai akhir labon pe
khushboo ke chale hain kahan kisike ikhtiyaar mein

No comments: